Monday 14 February, 2011

Ek mulakat

Sadak ke kinare kal raat

Chalte chalte Main thahar gaya tha

Jaham mein kuch jajbat uthe the

Kavita ke bulbule ubhar rahe the


Jab main apni kavita likh raha tha

Woh mere aas paas mandra raha tha

Jab tak khel raha tha woh apne aap se

Main bhi chup tha, magan apne aap mein


Achanak use khelne ka mood aaya

Haule se mere haath pe woh lehraya

Khushi khushi usne ek dankh maara

Khud ki jeet ka mano jhanda pheraya


Aankhen thodi num hui! Uff yeh kya dard hua!

Maine socha meri kavita mein yeh asar tha

Kaash! yeh mera sapna sach hota

Hothon pe aah, maathe pe pasina na hota


Aakhon mein paani samet ke dekha

Ek macchar baitha mere haath pe tha

Mera khoon chuskar... *@$@!

Kha pikar masti mein leta tha


Itna sust ki woh ud bhi na paya

Jab maine ungli tale use dabaya

kitnon ke khoon kee nadi behne lagi

kuch boondein mere khoon kee bhi beh chali


uske nasht hote hi mera raavan so gaya

Tab maine socha iski jagah kaun lega

Kaun mere daye gaal ko sehlayega

Kaun mere baye pair ka jhoola jhoolega


Intejaar kuch naa karna tha mujhe

Palak jhapakne bhar ka faasla tha

Sahi samjha aapne doston.....

Ek naya macchar mere kaan mein

......... Gungunane laga tha!

No comments: