Wednesday, 8 September 2010

Rishta

Ek rishta purana

Budhe bargad ki chudail ka

Naani ki kahaniyon ka

Naanaji ke dulaar ka


Ek rishta kitabon se mera

Atoot , Nishabd, Nirantar

Meri saason se jooda hai

Aur dil khol ke lootata hai


Ek mere bachpan ka rishta

Tab bhi jhijhajkta tha aur aaj bhi

Lagatar mujhe milta raha

Do kadam saath chalta raha



Ek rishta bhaybhit saa

Hichkichata aur murjhaya sa

Kabhi dhayrya se aage naa badha

Magar kabhi toot bhi na paya


Ek hai rishton se rishta

Ghanghor baarish mein dhoop sa

Sanvedana ka Intzaar ka

Jinda hone ke ehsaas ka


Ek rishta benaam sa

Meri ruh mein samaya

Mano toh dhadkan ki tarah

Shayad Ishwar ki den tha


Ek rishta kahi kho gaya

Dosti ka, vishwaas ka

Achanak haathon se choot gaya

Aasoon banke palkon mein bus gaya

No comments: